Saturday 25 January 2014

sad urdu poetry with images

Sad Urdu Poetry With Images

Free download in urdu for facebook for desktop in english wasi shah images mobile

Source:- Google.com.pk

Talluq Toot Jaaye Ga Mera Saray Zamanay Se
Mere Apany Khafa Hon Gay Tumhain Apna Bananay Se
Tumharay Sath Rehnay Se Mujhe Taskeen Milti Hai
Buhat Takleef Hoti Hai Tumharay Door Janay Se
Mere Ghar Ko Jala Dena Magar Yeh Zehan Mein Rakhna
Ujala Mil Nahin Sakta Kissi Ka Ghar Jalanay Se

Ye Haqiqat Hai Ki Hotaa Hai Asar Baaton Mein
Tum Bhii Khul Jaaoge Do-Chaar Mulaaqaaton Mein
Tum Se Sadiyon Kii Vafaaon Kaa Koii Naataa Na Thaa
Tum Se Milne Kii Lakiiren Thii Mere Haathon Mein
Tere Vaadon Ne Hamen Ghar Se Nikalne Na Diyaa
Log Mausam Kaa Mazaa Le Gaye Barasaaton Mein

Wo Intazaar Thaa Jis Kaa, Ye Wo Sehar To Nahiin
Ye Wo Sehar To Nahiin Jis Kii Aarazuu Lekar
Chale The Yaar K Mil Jaayegii Kahiin Na Kahiin
Falak Ke Dasht Mein Taron Kii Aakharii Manzil
Kahiin To Hogaa Shab-E-Sust Mauj Kaa Saahil
Kahiin To Jaa Ke Rukegaa Safinaa-E-Gam-E-Dil
Jawaan Lahuu Kii Pur-Asaraar Shaaharaahon Se

yahin ke thi mohabbat ke sabaq ke ibtada main ne
yahin ke jurrat-e-izhar-e-harf-e-mudd’a main ne
yahin dekhe the ishv-e-naz-o-andaz-e-haya main ne
yahin pahale suni thi dil dhadakane ke sada main ne
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
dilon mein izdaham-e-arazu lab band rehte the
nazar se guftagu hoti thi dam ulfat ka bharate the
na mathe par shikan hoti, na jab tevar badalate the
khuda bhi muskura deta tha jab hum pyar karte the
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
wo kya aata ke goya daur mein jam-e-sharab aata
wo kya aata rangili ragani rangin rabab aata
mujhe ranginiyon mein rangane wo rangin sahab aata
labon ke mein pilane jhumata mast-e-shabab aata
yahin kheton mein pani ke kinaro yaad hai ab bhi
haya ke bojh se jab har qadam par lagazishen hotin
fazan mein muntasar rangin badan ke larazishen hotin
rabab-e-dil ke taron mein musalasil jumbishen hotin
khifa-e-raz ke purlutf baham koshishen hotin
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
bala-e-fikr-e-farda hum se koson dur hoti thi
surur-e-sarmadi se zindagi mamur hoti thi
hamari khilwat-e-masum rashq-e-tur hoti thi
malak jhula jhulate the gazal-khwan hur hoti thi
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
na ab wo khet baqi hain na wo aab-e-rawan baqi
magar us aish-e-rafta ka hai ik dhundala nishan baqi

aj to be sabab udas hai jee
ishq hota to koi bat bhi thi
jalata phirata hun kyun dopehron mein
jane kya cheez kho gai meri
waheen phirata hun main bhi khak basar
is bhare shahar mein hai ek gali
chupata phirata hai ishq duniya se
phailati ja rahi hai rusvai
hamnashin kya kahun ke vo kya hai
chod ye bat nind udane lagi
aj to vo bhi kuch khamosh sa tha
main ne bhi us se koi bat na ke
ek dam us ke hath chum liye
ye mujhe baithe baithe kya sujhi
tu jo itana udas hai ‘nasir’
tujhe kya ho gaya bata to sahi

No comments:

Post a Comment